PDF Google Drive Downloader v1.1


Report a problem

Content text Quran Quiz E-book HinEnglish (NurShelf).pdf


"Insan ka sharaf, uski izzat aur uska waqar 'ilm' hai." "Huzoor صلى الله عليه وسلمka irshad hai: Jo shakhs ilm hasil karne ke liye koi raasta ikhtiyar kare to Allah ta'ala Jannat ka raasta uske liye asaan kar dete hain." "Hazrat Ali ne farmaya: 'Ilm' roshni hai jisse Allah ke raaz, qaainaat ki haqeeqat zahir hote hain, 'Ilm' ek chhupa hua khazana hai."
1.Quran ki lafzi maani kya hai? > Jisee baar baar padha jaaye 2.Quran ka vishay kya hai? > Insaan 3.Quran Majeed ke nazil hone ka maqsad kya hai? > Insano ki hidayat 4.Quran Majeed ki taleemat kis ke liye hain? > Duniya ke sare insanon ke liye 5.Quran Majeed ki pehli wahi mein kitni aayaten nazil hui thi? > Surah Al-Alaq ki paanch aayaten 6.Quran Majeed ki pehli wahi kab nazil hui? > August 610 CE 7.Quran Majeed kitne saalo mein nazil hua? > 23 saal 8.Quran ka pehla paigham jo wahi mila kya hai? > Iqra (Padho) 9.Lafz "Aayat" ka kya matlab hai? > Nishani 10.Quran Majeed ki aayaten ki kitni qismein hain? > Do: mukhamaat aur mutashaabihaat
11.Jo aayaten apne maani o mafhoom ke lehaaz se wazeh hon, unhein kya kehte hain? > Aayaten mukhamaat 12.Aayaten mutashaabihaat ke peechay kaun log sargardan hote hain? > Jin logon ke dilon mein kami hai woh fitna ki talash mein mutashaabihaat ke peechay paray rehte hain 13.Lafz "Surah" ke kya ma'ani hain? > Fasil, shehr panah, raf'at o azmat 14.Hijrat se qabal nazil hone wali suruton ko kya kaha jata hai? > Makki 15.Hijrat ke baad nazil hone wali suruton ko kya kaha jata hai? > Madani 16.Quran Majeed mein kul kitni surahten hain? > 114 17.Quran Majeed mein kul kitne rukoo hain? > 540 18.Quran Majeed mein kul kitni aayaten hain? > 6666

Related document

x
Report download errors
Report content



Download file quality is faulty:
Full name:
Email:
Comment
If you encounter an error, problem, .. or have any questions during the download process, please leave a comment below. Thank you.